Saturday, 5 July 2014

Kudrati Karishma

aankhon ki nami chupa leti hai
wo barsaati paani
dil ki dhadkan tez kar deti hai
wo aandhi ki vaani

Har din ek nayi umang lekar aati hai
wo surya ki pehli kiran
Aur dhalte dhalte kar jaati hai 
Humari aashayein safal

ye kudrati karishma hai
jo humari ruh ruh choo leti hai

wo mitti ki sugandh
sheetal hawa ka aagman
wo chidiya ki khilkhilahat
patton ki narmahat
wo baadalon ka garajna
mayusit ko khushiyon main badalna

ye kudrati karishma hai
jo humari ruh ruh choo leti hai

No comments:

Post a Comment